khwaab aankhon mein nihaan hai ab bhi
bujh gai aag dhuaan hai ab bhi
vo mere paas nahin hai lekin
us ke hone ka gumaan hai ab bhi
kya bahadur koi aaya hi nahin
raah mein sang-e-giraan hai ab bhi
koi pyaasa hi nahin hai warna
chashma-e-shauq ravaan hai ab bhi
ghar ko kaandhe pe liye firta hoon
mujh mein ye taab-o-tawaan hai ab bhi
main taalluq se pare hoon lekin
mujh se waabasta jahaan hai ab bhi
ख़्वाब आँखों में निहाँ है अब भी
बुझ गई आग धुआँ है अब भी
वो मिरे पास नहीं है लेकिन
उस के होने का गुमाँ है अब भी
क्या बहादुर कोई आया ही नहीं
राह में संग-ए-गिराँ है अब भी
कोई प्यासा ही नहीं है वर्ना
चश्मा-ए-शौक़ रवाँ है अब भी
घर को काँधे पे लिए फिरता हूँ
मुझ में ये ताब-ओ-तवाँ है अब भी
मैं तअल्लुक़ से परे हूँ लेकिन
मुझ से वाबस्ता जहाँ है अब भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Aag Shayari Shayari