varq varq ye fasana bikharna waala tha | वरक़ वरक़ ये फ़साना बिखरने वाला था

  - Ehtisham Akhtar

varq varq ye fasana bikharna waala tha
bacha liya mujhe us ne mein marne waala tha

shagufta phool pareshaan hua to gham na karo
ki vo to yun bhi hawa mein bikharna waala tha

main us ko dekh ke phir kuchh na dekh paaoonga
ye haadisa bhi mujhi par guzarne waala tha

sadaa-e-sang ne mujh ko bacha liya warna
main is pahaad se takra ke marne waala tha

main be-qusoor hoon ye faisla hua warna
main apne jurm ka iqaar karna waala tha

pahaad seena-sipar ho gaya tha mere liye
vagarna mujh mein samundar utarne waala tha

वरक़ वरक़ ये फ़साना बिखरने वाला था
बचा लिया मुझे उस ने में मरने वाला था

शगुफ़्ता फूल परेशाँ हुआ तो ग़म न करो
कि वो तो यूँ भी हवा में बिखरने वाला था

मैं उस को देख के फिर कुछ न देख पाऊँगा
ये हादिसा भी मुझी पर गुज़रने वाला था

सदा-ए-संग ने मुझ को बचा लिया वर्ना
मैं इस पहाड़ से टकरा के मरने वाला था

मैं बे-क़ुसूर हूँ ये फ़ैसला हुआ वर्ना
मैं अपने जुर्म का इक़रार करना वाला था

पहाड़ सीना-सिपर हो गया था मेरे लिए
वगर्ना मुझ में समुंदर उतरने वाला था

  - Ehtisham Akhtar

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Akhtar

As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Akhtar

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari