bheed chaaron taraf magar tanhaa
log rahte hain umr bhar tanhaa
kaarwaan kaarwaan har ik manzar
aadmi aadmi magar tanhaa
saikron qafile guzarte hain
aur rahti hai raahguzaar tanhaa
ab muhaafiz bhi loot lete hain
chhod kar jaaie na ghar tanhaa
roz milta hoon saikron se magar
roz jaata hoon apne ghar tanhaa
doston ki talash mein arshad
laut kar aa gai nazar tanhaa
भीड़ चारों तरफ़ मगर तन्हा
लोग रहते हैं उम्र भर तन्हा
कारवाँ कारवाँ हर इक मंज़र
आदमी आदमी मगर तन्हा
सैकड़ों क़ाफ़िले गुज़रते हैं
और रहती है रहगुज़र तन्हा
अब मुहाफ़िज़ भी लूट लेते हैं
छोड़ कर जाइए न घर तन्हा
रोज़ मिलता हूँ सैकड़ों से मगर
रोज़ जाता हूँ अपने घर तन्हा
दोस्तों की तलाश में 'अरशद'
लौट कर आ गई नज़र तन्हा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Ali Arshad
our suggestion based on Ejaz Ali Arshad
As you were reading Ghar Shayari Shayari