chalti saanson ko jaam karne laga
vo nazar se kalaam karne laga
raat farhaad khwaab mein aaya
aur farsi salaam karne laga
phir main zahreeli kaar-khaano mein
zinda rahne ka kaam karne laga
saaf inkaar kar nahin paaya
vo mera ehtiraam karne laga
leila ghar mein silaai karne lagi
qais dilli mein kaam karne laga
hijr ke maal se dil-e-naadaan
vasl ka intizaam karne laga
चलती साँसों को जाम करने लगा
वो नज़र से कलाम करने लगा
रात फ़रहाद ख़्वाब में आया
और फ़र्शी सलाम करने लगा
फिर मैं ज़हरीले कार-ख़ानों में
ज़िंदा रहने का काम करने लगा
साफ़ इंकार कर नहीं पाया
वो मिरा एहतिराम करने लगा
लैला घर में सिलाई करने लगी
क़ैस दिल्ली में काम करने लगा
हिज्र के माल से दिल-ए-नादाँ
वस्ल का इंतिज़ाम करने लगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni
our suggestion based on Fahmi Badayuni
As you were reading Fantasy Shayari Shayari