un labon ki yaad aayi gul ke muskuraane se | उन लबों की याद आई गुल के मुस्कुराने से

  - Faiyaz Ahmad

un labon ki yaad aayi gul ke muskuraane se
zakhm-e-dil ubhar aaye phir bahaar aane se

jaane thi gurez un ko ya ki sharm mehfil mein
raat mujh se kataraaye vo nazar milaane se

raaz jo chhupaaye the aaj sab pe zaahir hain
kuchh meri kahaani se kuchh tire fasaane se

haal jo hamaara hai sab to un pe raushan hai
phir bataaun kya hoga haal-e-dil sunaane se

un ko ham se kya matlab ham ko kya garz fayyaaz
tark ishq kar baithe ham to ik zamaane se

उन लबों की याद आई गुल के मुस्कुराने से
ज़ख़्म-ए-दिल उभर आए फिर बहार आने से

जाने थी गुरेज़ उन को या कि शर्म महफ़िल में
रात मुझ से कतराए वो नज़र मिलाने से

राज़ जो छुपाए थे आज सब पे ज़ाहिर हैं
कुछ मिरी कहानी से कुछ तिरे फ़साने से

हाल जो हमारा है सब तो उन पे रौशन है
फिर बताऊँ क्या होगा हाल-ए-दिल सुनाने से

उन को हम से क्या मतलब हम को क्या ग़रज़ 'फ़य्याज़'
तर्क इश्क़ कर बैठे हम तो इक ज़माने से

  - Faiyaz Ahmad

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Faiyaz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari