ab wahi harf-e-junoon sab ki zabaan thehri hai | अब वही हर्फ़-ए-जुनूँ सब की ज़बाँ ठहरी है

  - Faiz Ahmad Faiz

ab wahi harf-e-junoon sab ki zabaan thehri hai
jo bhi chal nikli hai vo baat kahaan thehri hai

aaj tak shaikh ke ikraam mein jo shay thi haraam
ab wahi dushman-e-deen raahat-e-jaan thehri hai

hai khabar garm ki firta hai gurezaan naaseh
guftugoo aaj sar-e-koo-e-butaan thehri hai

hai wahi aariz-e-laila wahi sheerin ka dehan
nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahaan thehri hai

vasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi
hijr ki shab hai to kya sakht giran thehri hai

bikhri ik baar to haath aayi hai kab mauj-e-shameem
dil se nikli hai to kab lab pe fugaan thehri hai

dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gul-cheen bhi
boo-e-gul thehri na bulbul ki zabaan thehri hai

aate aate yoonhi dam bhar ko ruki hogi bahaar
jaate jaate yoonhi pal bhar ko khizaan thehri hai

ham ne jo tarz-e-fughaan ki hai qafas mein ijaad
faiz gulshan mein wahi tarz-e-bayaan thehri hai

अब वही हर्फ़-ए-जुनूँ सब की ज़बाँ ठहरी है
जो भी चल निकली है वो बात कहाँ ठहरी है

आज तक शैख़ के इकराम में जो शय थी हराम
अब वही दुश्मन-ए-दीं राहत-ए-जाँ ठहरी है

है ख़बर गर्म कि फिरता है गुरेज़ाँ नासेह
गुफ़्तुगू आज सर-ए-कू-ए-बुताँ ठहरी है

है वही आरिज़-ए-लैला वही शीरीं का दहन
निगह-ए-शौक़ घड़ी भर को जहाँ ठहरी है

वस्ल की शब थी तो किस दर्जा सुबुक गुज़री थी
हिज्र की शब है तो क्या सख़्त गिराँ ठहरी है

बिखरी इक बार तो हाथ आई है कब मौज-ए-शमीम
दिल से निकली है तो कब लब पे फ़ुग़ाँ ठहरी है

दस्त-ए-सय्याद भी आजिज़ है कफ़-ए-गुल-चीं भी
बू-ए-गुल ठहरी न बुलबुल की ज़बाँ ठहरी है

आते आते यूँही दम भर को रुकी होगी बहार
जाते जाते यूँही पल भर को ख़िज़ाँ ठहरी है

हम ने जो तर्ज़-ए-फ़ुग़ाँ की है क़फ़स में ईजाद
'फ़ैज़' गुलशन में वही तर्ज़-ए-बयाँ ठहरी है

  - Faiz Ahmad Faiz

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari