chaahaton ko nit-naye andaaz se dekha karo | चाहतों को नित-नए अंदाज़ से देखा करो - Faiz

chaahaton ko nit-naye andaaz se dekha karo
vasl ki raahat mein furqat ka samaan likkha karo

kya pata un ki bhi lag jaaye koi qeemat kahi
sang-rezo ko bhi heero ki tarah parkha karo

zaat ke sehra mein kar paoge kya apni talash
umr bhar peeche saraab-e-zeest ke bhaaga karo

ik hawaa-e-tund ka jhonka uda le jaayega
ret ke seene pe koi naam mat likkha karo

tum bahut ghabra gaye ghar ki veeraani se faiz
ab hujoom-e-shahr mein tanhaaiyaan dhoonda karo

चाहतों को नित-नए अंदाज़ से देखा करो
वस्ल की राहत में फ़ुर्क़त का समाँ लिक्खा करो

क्या पता उन की भी लग जाए कोई क़ीमत कहीं
संग-रेज़ो को भी हीरों की तरह परखा करो

ज़ात के सहरा में कर पाओगे क्या अपनी तलाश
उम्र भर पीछे सराब-ए-ज़ीस्त के भागा करो

इक हवा-ए-तुंद का झोंका उड़ा ले जाएगा
रेत के सीने पे कोई नाम मत लिक्खा करो

तुम बहुत घबरा गए घर की वीरानी से 'फ़ैज़'
अब हुजूम-ए-शहर में तन्हाइयाँ ढूँडा करो

- Faiz
0 Likes

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz

As you were reading Shayari by Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari