hamein to saahil-e-dariya ki pyaas hona tha | हमें तो साहिल-ए-दरिया की प्यास होना था - Faiz

hamein to saahil-e-dariya ki pyaas hona tha
sukoot-e-hijr ka ik gham-shanaas hona tha

khula hai is tarah ab ke nayi rutoon ka bharam
zameen ko itna kahaan be-libaas hona tha

unhen bhi waqt ne patthar bana diya jin ko
hamaare ahad ka aadam-shanaas hona tha

pahan ke mujh ko ek roz tamannaa ka libaas
lahu lahu koi tasveer-e-yaas hona tha

bhatk rahe ho kahaan dost apne markaz se
tumhein to faiz ke dil ke hi paas hona tha

हमें तो साहिल-ए-दरिया की प्यास होना था
सुकूत-ए-हिज्र का इक ग़म-शनास होना था

खुला है इस तरह अब के नई रुतों का भरम
ज़मीं को इतना कहाँ बे-लिबास होना था

उन्हें भी वक़्त ने पत्थर बना दिया जिन को
हमारे अहद का आदम-शनास होना था

पहन के मुझ को एक रोज़ तमन्ना का लिबास
लहू लहू कोई तस्वीर-ए-यास होना था

भटक रहे हो कहाँ दोस्त अपने मरकज़ से
तुम्हें तो 'फ़ैज़' के दिल के ही पास होना था

- Faiz
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz

As you were reading Shayari by Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari