jo log tum se nafrat karte honge
ab kuchh to karte hi honge
aakhir kis baat pe nafrat karte honge
bahut dhoondhi hai main ne bhi vo ek baat ya vo saari baatein
jo mere dil mein bhi nafrat paida kar den
ziyaada nahin bas itni ki main sukoon se jee sakoon
do ek nukeele aib
jin se khurch doon tumhaari tasveer un aankhon se aur chain se so jaaun
जो लोग तुम से नफ़रत करते होंगे
अब कुछ तो करते ही होंगे
आख़िर किस बात पे नफ़रत करते होंगे
बहुत ढूँढी है मैं ने भी वो एक बात या वो सारी बातें
जो मेरे दिल में भी नफ़रत पैदा कर दें
ज़ियादा नहीं बस इतनी कि मैं सुकून से जी सकूँ
दो एक नुकीले ऐब
जिन से खुरच दूँ तुम्हारी तस्वीर उन आँखों से और चैन से सो जाऊँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Geetanjali Rai
As you were reading Dushmani Shayari Shayari