main ne poocha tha sitaaron se
aur us peele gulaab ki pankhudiyo se bhi
un ka sab ka maanna tha ki vo hawa ka jhonka sach kah raha tha ki tum aaoge
phir main ne baaki sab se bhi poocha
vo neem ka darakht
us mein rahne waali vo chidiya
us ke saath khelne waali narm dhoop aur tehniyon mein chhupne waala chaand
ek ek kar sab se baat ki main ne
aur sab kahte hain tum aaoge
sivaae tumhaare
मैं ने पूछा था सितारों से
और उस पीले गुलाब की पंखुड़ियों से भी
उन का सब का मानना था कि वो हवा का झोंका सच कह रहा था कि तुम आओगे
फिर मैं ने बाक़ी सब से भी पूछा
वो नीम का दरख़्त
उस में रहने वाली वो चिड़िया
उस के साथ खेलने वाली नर्म धूप और टहनियों में छुपने वाला चाँद
एक एक कर सब से बात की मैं ने
और सब कहते हैं तुम आओगे
सिवाए तुम्हारे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Geetanjali Rai
As you were reading Parinda Shayari Shayari