raat-bhar iqaar ki baatein karo
subh-dam inkaar ki baatein karo
uljhane dil ki badhaani hon agar
gesoo-e-khamdaar ki baatein karo
hain nigaahen sair aur abroo kamaan
yaar ba-hathiyaar ki baatein karo
mah-vasho itne bure bhi ham nahin
aao ham se pyaar ki baatein karo
sirf pehli hi ke din ai dosto
saaz aur jhankaar ki baatein karo
doosri ko bach gaye paise agar
koocha-o-baazaar ki baatein karo
das talak chillar agar baaki rahe
chaai par akhbaar ki baatein karo
bees aur ikkees ko ahbaab se
charkh-e-na-hanjaar ki baatein karo
qarz-e-hasnaa le ke tum untees tak
ghar ke kaarobaar ki baatein karo
tees ko baatein karo iktees ki
ya dil-e-beemaar ki baatein karo
aakhiri din khoob gusse mein raho
hujjat-o-takraar ki baatein karo
phir usi shab subh ki ummeed mein
meethi meethi pyaar ki baatein karo
tum se ye kis ne kaha tha khwaah-makhaah
is tarah be-kaar ki baatein karo
रात-भर इक़रार की बातें करो
सुब्ह-दम इंकार की बातें करो
उलझनें दिल की बढ़ानी हों अगर
गेसू-ए-ख़मदार की बातें करो
हैं निगाहें सैर और अबरू कमाँ
यार बा-हथियार की बातें करो
मह-वशो इतने बुरे भी हम नहीं
आओ हम से प्यार की बातें करो
सिर्फ़ पहली ही के दिन ऐ दोस्तो
साज़ और झंकार की बातें करो
दूसरी को बच गए पैसे अगर
कूचा-ओ-बाज़ार की बातें करो
दस तलक चिल्लर अगर बाक़ी रहे
चाय पर अख़बार की बातें करो
बीस और इक्कीस को अहबाब से
चर्ख़-ए-ना-हंजार की बातें करो
क़र्ज़-ए-हसना ले के तुम उनतीस तक
घर के कारोबार की बातें करो
तीस को बातें करो इकतीस की
या दिल-ए-बीमार की बातें करो
आख़िरी दिन ख़ूब ग़ुस्से में रहो
हुज्जत-ओ-तकरार की बातें करो
फिर उसी शब सुब्ह की उम्मीद में
मीठी मीठी प्यार की बातें करो
तुम से ये किस ने कहा था 'ख़्वाह-मख़ाह'
इस तरह बे-कार की बातें करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Khah makhah Hyderabadi
our suggestion based on Ghaus Khah makhah Hyderabadi
As you were reading Good morning Shayari Shayari