kya hua rangeeni-e-subh-o-masa baaki nahin | क्या हुआ रंगीनी-ए-सुब्ह-ओ-मसा बाक़ी नहीं

  - Habab Hashmi

kya hua rangeeni-e-subh-o-masa baaki nahin
apne hi ghar mein vo pehli si fazaa baaki nahin

aarzuo ka koi bhi silsila baaki nahin
mas'ala ye hai ki koi mas'ala baaki nahin

aa gaya hai ab sawaa neze pe dekho aftaab
apna saaya bhi zameen par zer-e-paa baaki nahin

manzilen awaaz deti hain ki ham hain muntazir
qafile waalon mein lekin hausale baaki nahin

be-mahaba us ke aane ka nateeja ye hua
aaina-khaane mein koi aaina baaki nahin

kitni mashshaqi se us ne saaf do tukde kiye
jism mein ab ek bhi tasma laga baaki nahin

ham to chhod aaye the gehre naqsh raahon mein habaab
waaye-hasrat ek bhi ab naqsh-e-paa baaki nahin

क्या हुआ रंगीनी-ए-सुब्ह-ओ-मसा बाक़ी नहीं
अपने ही घर में वो पहली सी फ़ज़ा बाक़ी नहीं

आरज़ुओं का कोई भी सिलसिला बाक़ी नहीं
मसअला ये है कि कोई मसअला बाक़ी नहीं

आ गया है अब सवा नेज़े पे देखो आफ़्ताब
अपना साया भी ज़मीं पर ज़ेर-ए-पा बाक़ी नहीं

मंज़िलें आवाज़ देती हैं कि हम हैं मुंतज़िर
क़ाफ़िले वालों में लेकिन हौसले बाक़ी नहीं

बे-महाबा उस के आने का नतीजा ये हुआ
आइना-ख़ाने में कोई आइना बाक़ी नहीं

कितनी मश्शाक़ी से उस ने साफ़ दो टुकड़े किए
जिस्म में अब एक भी तस्मा लगा बाक़ी नहीं

हम तो छोड़ आए थे गहरे नक़्श राहों में 'हबाब'
वाए-हसरत एक भी अब नक़्श-ए-पा बाक़ी नहीं

  - Habab Hashmi

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habab Hashmi

As you were reading Shayari by Habab Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Habab Hashmi

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari