sooni sunaai vo awaaz mar hi jaane do | सुनी सुनाई वो आवाज़ मर ही जाने दो

  - Habab Hashmi

sooni sunaai vo awaaz mar hi jaane do
sadi ka gham hai to lamhe bikhar hi jaane do

main apni jaan ki baazi lagaaye baitha hoon
har ik bala mere sar se guzar hi jaane do

lahu ke chheenton se ho jaayegi fazaa gulnaar
hamaare seene mein khanjar utar hi jaane do

ye intishaar ka aalam ye pur-khatr maahol
azeezo kaakul-e-geeti sanwar hi jaane do

tumhein bhulaane se dil ko sukoon milta hai
tum apni yaadon ke ye zakham bhar hi jaane do

habaab sab ke liye ek dars-e-ibrat hai
use bhi chand ghadi ko ubhar hi jaane do

सुनी सुनाई वो आवाज़ मर ही जाने दो
सदी का ग़म है तो लम्हे बिखर ही जाने दो

मैं अपनी जान की बाज़ी लगाए बैठा हूँ
हर इक बला मिरे सर से गुज़र ही जाने दो

लहू के छींटों से हो जाएगी फ़ज़ा गुलनार
हमारे सीने में ख़ंजर उतर ही जाने दो

ये इंतिशार का आलम ये पुर-ख़तर माहौल
अज़ीज़ो काकुल-ए-गीती सँवर ही जाने दो

तुम्हें भुलाने से दिल को सुकून मिलता है
तुम अपनी यादों के ये ज़ख़्म भर ही जाने दो

'हबाब' सब के लिए एक दर्स-ए-इबरत है
उसे भी चंद घड़ी को उभर ही जाने दो

  - Habab Hashmi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habab Hashmi

As you were reading Shayari by Habab Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Habab Hashmi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari