ab misr mein kahaan koi bazaar mo'tabar
yusuf hi mo'tabar na khareedaar mo'tabar
aise mein sochta hoon kise mo'tabar kahoon
milta nahin hai jab koi kirdaar mo'tabar
rehzan chhupe hue hain pas-e-sang-e-meel-e-raah
mutlaq nahin hai saaya-e-ashjaar mo'tabar
tareek shab hai aur larzate hue charaagh
lagte nahin hain subh ke aasaar mo'tabar
kehne ko sarfaroosh the jaanbaaz the bahut
thehre akela ham hi sar-e-daar mo'tabar
mehfil mein ahl-e-fan bhi ye kehne lage habaab
pukhta tira sukhun tire ashaar mo'tabar
अब मिस्र में कहाँ कोई बाज़ार मो'तबर
यूसुफ़ ही मो'तबर न ख़रीदार मो'तबर
ऐसे में सोचता हूँ किसे मो'तबर कहूँ
मिलता नहीं है जब कोई किरदार मो'तबर
रहज़न छुपे हुए हैं पस-ए-संग-ए-मील-ए-राह
मुतलक़ नहीं है साया-ए-अश्जार मो'तबर
तारीक शब है और लरज़ते हुए चराग़
लगते नहीं हैं सुब्ह के आसार मो'तबर
कहने को सरफ़रोश थे जाँबाज़ थे बहुत
ठहरे अकेले हम ही सर-ए-दार मो'तबर
महफ़िल में अहल-ए-फ़न भी ये कहने लगे 'हबाब'
पुख़्ता तिरा सुख़न तिरे अशआ'र मो'तबर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habab Hashmi
our suggestion based on Habab Hashmi
As you were reading Jashn Shayari Shayari