kabhi hamaare liye teg-e-be-niyaam karo
jo dastaan hai tumhaari use tamaam karo
khuloos aur mohabbat se nek kaam karo
ye may-kade hai sabhi ko shareek-e-jaam karo
jo may-kade se nikale gaye to kya hoga
main mohtasib hoon yahan mera ehtiraam karo
tumhaare qurb se dil ko sukoon milta hai
mere qareeb hi baitho na kuchh kalaam karo
vo ek shaam ki jis par nisaar subh-e-azl
vo ek shaam kabhi tum hamaare naam karo
kahaan najaat ki soorat hai qaid-e-hasti se
kisi tarah isee zindaan mein subh-o-shaam karo
habaab hasti-e-mauhoom ka bharosa kya
musafiron ki tarah bas yahan qayaam karo
कभी हमारे लिए तेग़-ए-बे-नियाम करो
जो दास्ताँ है तुम्हारी उसे तमाम करो
ख़ुलूस और मोहब्बत से नेक काम करो
ये मय-कदे है सभी को शरीक-ए-जाम करो
जो मय-कदे से निकाले गए तो क्या होगा
मैं मोहतसिब हूँ यहाँ मेरा एहतिराम करो
तुम्हारे क़ुर्ब से दिल को सुकून मिलता है
मिरे क़रीब ही बैठो न कुछ कलाम करो
वो एक शाम कि जिस पर निसार सुब्ह-ए-अज़ल
वो एक शाम कभी तुम हमारे नाम करो
कहाँ नजात की सूरत है क़ैद-ए-हस्ती से
किसी तरह इसी ज़िंदाँ में सुब्ह-ओ-शाम करो
'हबाब' हस्ती-ए-मौहूम का भरोसा क्या
मुसाफ़िरों की तरह बस यहाँ क़याम करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habab Hashmi
our suggestion based on Habab Hashmi
As you were reading Shaam Shayari Shayari