meri khaatir koi naama koi paighaam to ho | मिरी ख़ातिर कोई नामा कोई पैग़ाम तो हो

  - Habab Hashmi

meri khaatir koi naama koi paighaam to ho
dil-e-muztar ko kisi taur se aaraam to ho

mujh se aawaara ko mil jaaye magar jaa-e-amaan
aarzoo hai tire kooche mein kabhi shaam to ho

mauj-e-khoon sar se guzar jaaye to kuchh baat bane
aaj zindaan mein bhi tazeen-e-dar-o-baam to ho

tapte sehra mein bhi saaya kahi mil jaayega
pehle ai dost tujhe jurat-e-yak-gaam to ho

be-gunaahi ka mere qatl pe charcha hoga
koi bohtan taraasho koi ilzaam to ho

gar tira lutf nahin tera taghaaful hi sahi
aakhirsh meri wafa ka koi ina'am to ho

ungaliyaan uthati hain jis samt bhi jaate ho habaab
na sahi kuchh magar ik shaa'ir-e-badnaam to ho

मिरी ख़ातिर कोई नामा कोई पैग़ाम तो हो
दिल-ए-मुज़्तर को किसी तौर से आराम तो हो

मुझ से आवारा को मिल जाए मगर जा-ए-अमाँ
आरज़ू है तिरे कूचे में कभी शाम तो हो

मौज-ए-ख़ूँ सर से गुज़र जाए तो कुछ बात बने
आज ज़िंदाँ में भी तज़ईन-ए-दर-ओ-बाम तो हो

तपते सहरा में भी साया कहीं मिल जाएगा
पहले ऐ दोस्त तुझे जुरअत-ए-यक-गाम तो हो

बे-गुनाही का मिरे क़त्ल पे चर्चा होगा
कोई बोहतान तराशो कोई इल्ज़ाम तो हो

गर तिरा लुत्फ़ नहीं तेरा तग़ाफ़ुल ही सही
आख़िरश मेरी वफ़ा का कोई इनआ'म तो हो

उँगलियाँ उठती हैं जिस सम्त भी जाते हो 'हबाब'
न सही कुछ मगर इक शाइ'र-ए-बदनाम तो हो

  - Habab Hashmi

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habab Hashmi

As you were reading Shayari by Habab Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Habab Hashmi

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari