jab us se tark-e-mulaqaat ka iraada kiya | जब उस से तर्क-ए-मुलाक़ात का इरादा किया

  - Habab Hashmi

jab us se tark-e-mulaqaat ka iraada kiya
tab us ne daaman-e-dil ko zara kushaada kiya

bas ik nigaah se us ki sada rahe makhmoor
kabhi na jaam uthaya na shaghl-e-baada kiya

fareb de ke bhi us ka qusoor kam hi raha
ki ham ne us pe bharosa bhi kuchh ziyaada kiya

sharaafat aur najaabat ka is ko gharra hai
hasab nasab se siva zikr-e-khaanvaada kiya

jahaan-e-sher-o-adab mein hamaara zikr bhi hai
ki ham ne meer se ghalib se istifaada kiya

meri ghayoor tabeeyat pe us ko hairat hai
ki arz-e-shauq ka us se na phir i'aada kiya

ye aur baat ki naakaamiyaan muqaddar theen
habaab jo bhi kiya ham ne bil-iraada kiya

जब उस से तर्क-ए-मुलाक़ात का इरादा किया
तब उस ने दामन-ए-दिल को ज़रा कुशादा किया

बस इक निगाह से उस की सदा रहे मख़मूर
कभी न जाम उठाया न शग़्ल-ए-बादा किया

फ़रेब दे के भी उस का क़ुसूर कम ही रहा
कि हम ने उस पे भरोसा भी कुछ ज़ियादा किया

शराफ़त और नजाबत का इस को ग़र्रा है
हसब नसब से सिवा ज़िक्र-ए-ख़ानवादा किया

जहान-ए-शेर-ओ-अदब में हमारा ज़िक्र भी है
कि हम ने 'मीर' से 'ग़ालिब' से इस्तिफ़ादा किया

मिरी ग़यूर तबीअत पे उस को हैरत है
कि अर्ज़-ए-शौक़ का उस से न फिर इआदा किया

ये और बात कि नाकामियाँ मुक़द्दर थीं
'हबाब' जो भी किया हम ने बिल-इरादा किया

  - Habab Hashmi

Eitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habab Hashmi

As you were reading Shayari by Habab Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Habab Hashmi

Similar Moods

As you were reading Eitbaar Shayari Shayari