jazba-e-shauq ne yun daad-e-wafa paai hai | जज़्बा-ए-शौक़ ने यूँ दाद-ए-वफ़ा पाई है

  - Habab Hashmi

jazba-e-shauq ne yun daad-e-wafa paai hai
khinch ke manzil mere qadmon mein chali aayi hai

aaj tak mit na saki maathe se sajdon ki khalish
ek muddat se tire dar pe jabeen-saai hai

aaina tod ke haathon mein liye baithe hain
ibrat-angez ye anjaam-e-khud-aaraai hai

aap aayein na sahi mujh ko bulaaein na sahi
aap ki yaad rafeeq-e-shab-e-tanhaai hai

meherbaan vo hain to aghyaar pareshaan kyun hain
meri aur un ki to barson ki shanaasaai hai

koi naghma koi sangeet koi geet nahin
zindagi dard mein doobi hui shehnai hai

jin ko inkaar tha ab vo bhi to kahte hain habaab
tere ashaar mein gehraai hai giraai hai

जज़्बा-ए-शौक़ ने यूँ दाद-ए-वफ़ा पाई है
खिंच के मंज़िल मिरे क़दमों में चली आई है

आज तक मिट न सकी माथे से सज्दों की ख़लिश
एक मुद्दत से तिरे दर पे जबीं-साई है

आइना तोड़ के हाथों में लिए बैठे हैं
इबरत-अंगेज़ ये अंजाम-ए-ख़ुद-आराई है

आप आएँ न सही मुझ को बुलाएँ न सही
आप की याद रफ़ीक़-ए-शब-ए-तन्हाई है

मेहरबाँ वो हैं तो अग़्यार परेशाँ क्यों हैं
मेरी और उन की तो बरसों की शनासाई है

कोई नग़्मा कोई संगीत कोई गीत नहीं
ज़िंदगी दर्द में डूबी हुई शहनाई है

जिन को इंकार था अब वो भी तो कहते हैं 'हबाब'
तेरे अशआ'र में गहराई है गीराई है

  - Habab Hashmi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habab Hashmi

As you were reading Shayari by Habab Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Habab Hashmi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari