kise bataayein ki zaad-e-safar gaya kab ka
raha hi kya hai gham-e-mo'tabar gaya kab ka
mujhe bhi dekh ki main ek naqsh-e-hairat hoon
dikha ke aaina aaina-gar gaya kab ka
talash sahra-b-sahra jise kiya main ne
vo meri rooh ke andar utar gaya kab ka
dua raheen-e-asar hai ye baat sach hai magar
meri dua se yaqeenan asar gaya kab ka
na sang-e-meel na jaada na koi manzil-e-shauq
akela main hoon mera hum-safar gaya kab ka
koi umeed na khwaahish na aarzoo baaki
ki mere jism ka insaan mar gaya kab ka
habaab ek tanaawar darakht tha main bhi
p toot toot ke aakhir bikhar gaya kab ka
किसे बताएँ कि ज़ाद-ए-सफ़र गया कब का
रहा ही क्या है ग़म-ए-मो'तबर गया कब का
मुझे भी देख कि मैं एक नक़्श-ए-हैरत हूँ
दिखा के आइना आईना-गर गया कब का
तलाश सहरा-ब-सहरा जिसे किया मैं ने
वो मेरी रूह के अंदर उतर गया कब का
दुआ रहीन-ए-असर है ये बात सच है मगर
मिरी दुआ से यक़ीनन असर गया कब का
न संग-ए-मील न जादा न कोई मंज़िल-ए-शौक़
अकेला मैं हूँ मिरा हम-सफ़र गया कब का
कोई उमीद न ख़्वाहिश न आरज़ू बाक़ी
कि मेरे जिस्म का इंसान मर गया कब का
'हबाब' एक तनावर दरख़्त था मैं भी
प टूट टूट के आख़िर बिखर गया कब का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habab Hashmi
our suggestion based on Habab Hashmi
As you were reading Breakup Shayari Shayari