ye kaif kaif-e-mohabbat hai koi kya jaane
chhalk rahe hain nigaahon mein dil ke paimaane
kahaaniyon hi pe buniyaad hai haqeeqat ki
haqeeqaton hi se paida hue hain afsaane
na ab vo aatish-e-namrood hai na sho'la-e-toor
tiri nigaah ko kya ho gaya khuda jaane
hazaar teri mohabbat ne rahnumaai ki
guzar sake na maqaam-e-junoon se deewane
unhi ko haasil-e-yak-shehr-e-aarzoo kahiye
meri nigaah mein aabaad hain jo veeraane
tujhe khabar bhi hai is daur-e-khasta-haali mein
khud ahl-e-dil hain mazaq-e-wafa se begaane
junoon fareb-e-khirad hai khird fareb-e-nazar
mujhe kahi ka na rakha meri tamannaa ne
ये कैफ़ कैफ़-ए-मोहब्बत है कोई क्या जाने
छलक रहे हैं निगाहों में दिल के पैमाने
कहानियों ही पे बुनियाद है हक़ीक़त की
हक़ीक़तों ही से पैदा हुए हैं अफ़्साने
न अब वो आतिश-ए-नमरूद है न शो'ला-ए-तूर
तिरी निगाह को क्या हो गया ख़ुदा जाने
हज़ार तेरी मोहब्बत ने रहनुमाई की
गुज़र सके न मक़ाम-ए-जुनूँ से दीवाने
उन्ही को हासिल-ए-यक-शहर-ए-आरज़ू कहिए
मिरी निगाह में आबाद हैं जो वीराने
तुझे ख़बर भी है इस दौर-ए-ख़स्ता-हाली में
ख़ुद अहल-ए-दिल हैं मज़ाक़-ए-वफ़ा से बेगाने
जुनूँ फ़रेब-ए-ख़िरद है ख़िरद फ़रेब-ए-नज़र
मुझे कहीं का न रक्खा मिरी तमन्ना ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Ashar Dehlavi
our suggestion based on Habeeb Ashar Dehlavi
As you were reading Mashwara Shayari Shayari