taur be-taur hue jaate hain | तौर बे-तौर हुए जाते हैं

  - Habeeb Ashar Dehlavi

taur be-taur hue jaate hain
ab vo kuchh aur hue jaate hain

chhalki padti hai nigah-e-saaqi
daur par daur hue jaate hain

tu na ghabra ki tire deewane
khuugar-e-jaur hue jaate hain

ishq ke mas'ala-ha-e-saada
qaabil-e-ghaur hue jaate hain

तौर बे-तौर हुए जाते हैं
अब वो कुछ और हुए जाते हैं

छलकी पड़ती है निगाह-ए-साक़ी
दौर पर दौर हुए जाते हैं

तू न घबरा कि तिरे दीवाने
ख़ूगर-ए-जौर हुए जाते हैं

इश्क़ के मसअला-हा-ए-सादा
क़ाबिल-ए-ग़ौर हुए जाते हैं

  - Habeeb Ashar Dehlavi

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ashar Dehlavi

As you were reading Shayari by Habeeb Ashar Dehlavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ashar Dehlavi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari