be-niyaazi se mudaarat se dar lagta hai | बे-नियाज़ी से मुदारात से डर लगता है

  - Habeeb Ashar Dehlavi

be-niyaazi se mudaarat se dar lagta hai
jaane kya baat hai har baat se dar lagta hai

saaghar-e-baada-e-gul-rang to kuchh door nahin
nigah-e-peer-e-kharaabaat se dar lagta hai

dil pe khaai hui ik chot ubhar aati hai
tere deewane ko barsaat se dar lagta hai

ai dil afsaana-e-aaghaz-e-wafa rahne de
mujh ko beete hue lamhaat se dar lagta hai

haath se zabt ka daaman na kahi chhut jaaye
aap ki pursish-e-haalat se dar lagta hai

main jo us bazm mein jaata nahin ash'ar mujh ko
apne sahme hue jazbaat se dar lagta hai

बे-नियाज़ी से मुदारात से डर लगता है
जाने क्या बात है हर बात से डर लगता है

साग़र-ए-बादा-ए-गुल-रंग तो कुछ दूर नहीं
निगह-ए-पीर-ए-ख़राबात से डर लगता है

दिल पे खाई हुई इक चोट उभर आती है
तेरे दीवाने को बरसात से डर लगता है

ऐ दिल अफ़साना-ए-आग़ाज़-ए-वफ़ा रहने दे
मुझ को बीते हुए लम्हात से डर लगता है

हाथ से ज़ब्त का दामन न कहीं छुट जाए
आप की पुर्सिश-ए-हालात से डर लगता है

मैं जो उस बज़्म में जाता नहीं 'अशअर' मुझ को
अपने सहमे हुए जज़्बात से डर लगता है

  - Habeeb Ashar Dehlavi

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Ashar Dehlavi

As you were reading Shayari by Habeeb Ashar Dehlavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Ashar Dehlavi

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari