ye ek ahad-e-sazaa hai jazaa ki baat na kar
dua se haath utha rakh dava ki baat na kar
khuda ke naam pe zalim nahin ye zulm rawa
mujhe jo chahe saza de khuda ki baat na kar
hayaat ab to inheen mehbason mein guzregi
sitamgaron se koi iltijaa ki baat na kar
unhi ke haath mein patthar hain jin ko pyaar kiya
ye dekh hashr hamaara wafa ki baat na kar
abhi to paai hai main ne rihaai rehzan se
bhatk na jaaun main phir rehnuma ki baat na kar
bujha diya hai hawa ne har ek daya ka diya
na dhundh ahl-e-karam ko daya ki baat na kar
nuzool-e-habs hua hai falak se ai jaalib
ghuta ghuta hi sahi dam ghatta ki baat na kar
ये एक अहद-ए-सज़ा है जज़ा की बात न कर
दुआ से हाथ उठा रख दवा की बात न कर
ख़ुदा के नाम पे ज़ालिम नहीं ये ज़ुल्म रवा
मुझे जो चाहे सज़ा दे ख़ुदा की बात न कर
हयात अब तो इन्हीं महबसों में गुज़रेगी
सितमगरों से कोई इल्तिजा की बात न कर
उन्ही के हाथ में पत्थर हैं जिन को प्यार किया
ये देख हश्र हमारा वफ़ा की बात न कर
अभी तो पाई है मैं ने रिहाई रहज़न से
भटक न जाऊँ मैं फिर रहनुमा की बात न कर
बुझा दिया है हवा ने हर एक दया का दिया
न ढूँड अहल-ए-करम को दया की बात न कर
नुज़ूल-ए-हब्स हुआ है फ़लक से ऐ 'जालिब'
घुटा घुटा ही सही दम घटा की बात न कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Love Shayari Shayari