ik patri par sardi mein apni taqdeer ko roye
dooja zulfon ki chaanv mein sukh ki sej pe soye
raaj-singhaasan par ik baitha aur ik us ka daas
bhaye kabeer udaas
unche unche aivaanon mein moorakh hukm chalaayein
qadam qadam par is nagri mein pandit dhakke khaayein
dharti par bhagwaan bane hain dhan hai jin ke paas
bhaye kabeer udaas
geet likhaayein paise na den film nagar ke log
un ke ghar baaje shehnai lekhak ke ghar sog
gaayek sur mein kyun kar gaaye kyun na kaate ghaas
bhaye kabeer udaas
kal tak tha jo haal hamaara haal wahi hai aaj
jaalib apne des mein sukh ka kaal wahi hai aaj
phir bhi mochi-gate pe lider roz karein bakwaas
bhaye kabeer udaas
इक पटरी पर सर्दी में अपनी तक़दीर को रोए
दूजा ज़ुल्फ़ों की छाँव में सुख की सेज पे सोए
राज-सिंघासन पर इक बैठा और इक उस का दास
भए कबीर उदास
ऊँचे ऊँचे ऐवानों में मूरख हुक्म चलाएँ
क़दम क़दम पर इस नगरी में पंडित धक्के खाएँ
धरती पर भगवान बने हैं धन है जिन के पास
भए कबीर उदास
गीत लिखाएँ पैसे ना दें फ़िल्म नगर के लोग
उन के घर बाजे शहनाई लेखक के घर सोग
गाएक सुर में क्यूँ कर गाए क्यूँ ना काटे घास
भए कबीर उदास
कल तक था जो हाल हमारा हाल वही है आज
'जालिब' अपने देस में सुख का काल वही है आज
फिर भी मोची-गेट पे लीडर रोज़ करें बकवास
भए कबीर उदास
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Qismat Shayari Shayari