raaz-e-sar-basta mohabbat ke zabaan tak pahunchen | राज़-ए-सर-बस्ता मोहब्बत के ज़बाँ तक पहुँचे - Hafeez Hoshiarpuri

raaz-e-sar-basta mohabbat ke zabaan tak pahunchen
baat badh kar ye khuda jaane kahaan tak pahunchen

kya tasarruf hai tire husn ka allah allah
jalwe aankhon se utar kar dil-o-jaan tak pahunchen

tiri manzil pe pahunchana koi aasaan na tha
sarhad-e-aql se guzre to yahan tak pahunchen

hairat-e-ishq meri husn ka aaina hai
dekhne waale kahaan se hain kahaan tak pahunchen

khul gaya aaj nigaahen hain nigaahen apni
jalwe hi jalwe nazar aaye jahaan tak pahunchen

wahi is gosha-e-daamaan ki haqeeqat jaane
jo mere deeda-e-khoonaaba-fishaan tak pahunchen

ibtida mein jinhen hum nang-e-wafa samjhe the
hote hote vo gile husn-e-bayaan tak pahunchen

aah vo harf-e-tamanna ki na lab tak aaye
haaye vo baat ki ik ik ki zabaan tak pahunchen

kis ka dil hai ki sune qissa-e-furqat mera
kaun hai jo mere andoh-e-nihaan tak pahunchen

khalish-angez tha kya kya tiri mizgaan ka khayal
toot kar dil mein ye nashtar rag-e-jaan tak pahunchen

na pata sang-e-nishaan ka na khabar rahbar ki
justuju mein tire deewane yahan tak pahunchen

na ghubaar-e-rah-e-manzil hai na aawaaz-e-jars
kaun mujh rahraw-e-gum-karda-nishaan tak pahunchen

saaf tauheen hai ye dard-e-mohabbat ki hafiz
husn ka raaz ho aur meri zabaan tak pahunchen

राज़-ए-सर-बस्ता मोहब्बत के ज़बाँ तक पहुँचे
बात बढ़ कर ये ख़ुदा जाने कहाँ तक पहुँचे

क्या तसर्रुफ़ है तिरे हुस्न का अल्लाह अल्लाह
जल्वे आँखों से उतर कर दिल-ओ-जाँ तक पहुँचे

तिरी मंज़िल पे पहुँचना कोई आसान न था
सरहद-ए-अक़्ल से गुज़रे तो यहाँ तक पहुँचे

हैरत-ए-इश्क़ मिरी हुस्न का आईना है
देखने वाले कहाँ से हैं कहाँ तक पहुँचे

खुल गया आज निगाहें हैं निगाहें अपनी
जल्वे ही जल्वे नज़र आए जहाँ तक पहुँचे

वही इस गोशा-ए-दामाँ की हक़ीक़त जाने
जो मिरे दीदा-ए-ख़ूँनाबा-फ़िशाँ तक पहुँचे

इब्तिदा में जिन्हें हम नंग-ए-वफ़ा समझे थे
होते होते वो गिले हुस्न-ए-बयाँ तक पहुँचे

आह वो हर्फ़-ए-तमन्ना कि न लब तक आए
हाए वो बात कि इक इक की ज़बाँ तक पहुँचे

किस का दिल है कि सुने क़िस्सा-ए-फ़ुर्क़त मेरा
कौन है जो मिरे अंदोह-ए-निहाँ तक पहुँचे

खलिश-अंगेज़ था क्या क्या तिरी मिज़्गाँ का ख़याल
टूट कर दिल में ये नश्तर रग-ए-जाँ तक पहुँचे

न पता संग-ए-निशाँ का न ख़बर रहबर की
जुस्तुजू में तिरे दीवाने यहाँ तक पहुँचे

न ग़ुबार-ए-रह-ए-मंज़िल है न आवाज़-ए-जरस
कौन मुझ रहरव-ए-गुम-कर्दा-निशाँ तक पहुँचे

साफ़ तौहीन है ये दर्द-ए-मोहब्बत की 'हफ़ीज़'
हुस्न का राज़ हो और मेरी ज़बाँ तक पहुँचे

- Hafeez Hoshiarpuri
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Hoshiarpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Hoshiarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Hoshiarpuri

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari