na kar dil-jooi ai sayyaad meri | न कर दिल-जूई ऐ सय्याद मेरी

  - Hafeez Jalandhari

na kar dil-jooi ai sayyaad meri
ki fitrat hai bahut azaad meri

aseeri se rihaai paane waalo
tumhein pahunchen mubaarakbaad meri

sahaara kyun liya tha nakhuda ka
khuda bhi kyun kare imdaad meri

bhula do mujh ko lekin yaad rakhna
sataayegi tumhein bhi yaad meri

farishte kya murattab kar sakenge
bahut be-rabt hai roodaad meri

pasand aane lagi thi sar-bulandi
yahi thi avvaleen uftaad meri

kya paaband-e-nay naale ko main ne
ye tarz-e-khaas hai ijaad meri

mere ashaar par chup rahne waale
tire hisse mein aayi daad meri

qaza ka zulm had se badh gaya hai
koi sunta nahin fariyaad meri

khudaavanda qaza ne cheen li hai
mere aaghosh se irshaad meri

न कर दिल-जूई ऐ सय्याद मेरी
कि फ़ितरत है बहुत आज़ाद मेरी

असीरी से रिहाई पाने वालो
तुम्हें पहुँचे मुबारकबाद मेरी

सहारा क्यूँ लिया था नाख़ुदा का
ख़ुदा भी क्यूँ करे इमदाद मेरी

भुला दो मुझ को लेकिन याद रखना
सताएगी तुम्हें भी याद मेरी

फ़रिश्ते क्या मुरत्तब कर सकेंगे
बहुत बे-रब्त है रूदाद मेरी

पसंद आने लगी थी सर-बुलंदी
यही थी अव्वलीं उफ़्ताद मेरी

क्या पाबंद-ए-नय नाले को मैं ने
ये तर्ज़-ए-ख़ास है ईजाद मेरी

मिरे अशआर पर चुप रहने वाले
तिरे हिस्से में आई दाद मेरी

क़ज़ा का ज़ुल्म हद से बढ़ गया है
कोई सुनता नहीं फ़रियाद मेरी

ख़ुदावंदा क़ज़ा ने छीन ली है
मिरे आग़ोश से 'इरशाद' मेरी

  - Hafeez Jalandhari

Inquilab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Inquilab Shayari Shayari