sharaab-khaana hai bazm-e-hasti | शराब-ख़ाना है बज़्म-ए-हस्ती

  - Hafeez Jalandhari

sharaab-khaana hai bazm-e-hasti
har ek hai mahv-e-aish-o-masti
maal-beeni o may-parasti
are ye zillat are ye pasti
shiaar-e-rindaana kar piye ja
agar koi tujh ko tokta hai
sharaab peene se rokta hai
samajh ise hosh mein nahin hai
khird ke aaghosh mein nahin hai
tu is se jhagda na kar piye ja
khayaal-e-roz-e-hisaab kaisa
savaab kaisa azaab kaisa
behisht o dozakh ke ye fasaane
khuda ki baatein khuda hi jaane
fuzool socha na kar piye ja
nahin jahaan mein mudaam rahna
to kis liye tishna-kaam rahna
utha utha haan utha suboo ko
tamaam duniya ki haw huu ko
ghareeq-e-paimaana kar piye ja
kisi se takraar kya zaroorat
fuzool israar kya zaroorat
koi piye to use pila de
agar na maane to muskuraa de
malaal-e-asla na kar piye ja
tujhe samjhte hain ahl-e-duniya
kharab khasta zaleel rusva
nahin ayaan un pe haal tera
koi nahin ham-khayaal tera
kisi ki parwa na kar piye ja
ye tujh par aawaaze kasne waale
tamaam hain mere dekhe bhaale
nahin mazaak un ko may-kashi ka
ye khoon peete hain aadmi ka
tu un ka shikwa na kar piye ja

शराब-ख़ाना है बज़्म-ए-हस्ती
हर एक है महव-ए-ऐश-ओ-मस्ती
मआल-बीनी ओ मय-परस्ती
अरे ये ज़िल्लत अरे ये पस्ती
शिआर-ए-रिंदाना कर पिए जा
अगर कोई तुझ को टोकता है
शराब पीने से रोकता है
समझ इसे होश में नहीं है
ख़िरद के आग़ोश में नहीं है
तू इस से झगड़ा न कर पिए जा
ख़याल-ए-रोज़-ए-हिसाब कैसा
सवाब कैसा अज़ाब कैसा
बहिश्त ओ दोज़ख़ के ये फ़साने
ख़ुदा की बातें ख़ुदा ही जाने
फ़ुज़ूल सोचा न कर पिए जा
नहीं जहाँ में मुदाम रहना
तो किस लिए तिश्ना-काम रहना
उठा उठा हाँ उठा सुबू को
तमाम दुनिया की हाव हू को
ग़रीक़-ए-पैमाना कर पिए जा
किसी से तकरार क्या ज़रूरत
फ़ुज़ूल इसरार क्या ज़रूरत
कोई पिए तो उसे पिला दे
अगर न माने तो मुस्कुरा दे
मलाल-ए-असला न कर पिए जा
तुझे समझते हैं अहल-ए-दुनिया
ख़राब ख़स्ता ज़लील रुस्वा
नहीं अयाँ उन पे हाल तेरा
कोई नहीं हम-ख़याल तेरा
किसी की परवा न कर पिए जा
ये तुझ पर आवाज़े कसने वाले
तमाम हैं मेरे देखे भाले
नहीं मज़ाक़ उन को मय-कशी का
ये ख़ून पीते हैं आदमी का
तू उन का शिकवा न कर पिए जा

  - Hafeez Jalandhari

Narazgi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Narazgi Shayari Shayari