ek be-tuki nazm | एक बे-तुकी नज़्म

  - Hafeez Jalandhari

ek be-tuki nazm
aaj bistar hi mein hoon
kar diya hai aaj
mere muzmahil azaa ne izhaar-e-baghaavat barmala
mera jism-e-na-taawaan mera ghulaam-e-ba-wafaa
waqai maaloom hota hai thaka haara hua
aur main
ek sakht geer aqaa zamaane ka ghulaam
kis qadar majboor hoon
pet pooja ke liye
do qadam bhi uth ke ja saka nahin
mere chaa kar paanv shal hain
jhuk gaya hoon in kameenon ki raza ke saamne
sar utha saka nahin
aaj bistar hi mein hoon

एक बे-तुकी नज़्म
आज बिस्तर ही में हूँ
कर दिया है आज
मेरे मुज़्महिल आज़ा ने इज़हार-ए-बग़ावत बरमला
मेरा जिस्म-ए-ना-तावाँ मेरा ग़ुलाम-ए-बा-वफ़ा
वाक़ई मालूम होता है थका हारा हुआ
और मैं
एक सख़्त गीर आक़ा... ज़माने का ग़ुलाम
किस क़दर मजबूर हूँ
पेट पूजा के लिए
दो क़दम भी उठ के जा सकता नहीं
मेरे चा कर पाँव शल हैं
झुक गया हूँ इन कमीनों की रज़ा के सामने
सर उठा सकता नहीं
आज बिस्तर ही में हूँ

  - Hafeez Jalandhari

Majboori Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Majboori Shayari Shayari