imarat aur shaaukat aur armaaye ki tasveerein
ye aivaanaat sab hain haal hi ki taaza taamirein
idhar kuchh faasle par chand ghar the kaasht-kaaron ke
jahaan ab kaar-khaane ban gaye sarmaaya-daaron ke
maweshi ho gaye neelaam kyun ye koi kya jaane
kachehri jaane saahookaar jaane ya khuda jaane
zameen-daaron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe
naye bhatoon mein eenten thaapte firte hain halwahe
yahan apne purane gaav ka ab kya raha baaki
yahi takiya yahi ik main yahi ik jhonpadaa baaki
azeemushshaan basti hai ye nau-aabaad veeraana
yahan ham ajnabi dono hain main aur mera kaashaana
इमारत और शौकत और सरमाए की तस्वीरें
ये ऐवानात सब हैं हाल ही की ताज़ा तामीरें
इधर कुछ फ़ासले पर चंद घर थे काश्त-कारों के
जहाँ अब कार-ख़ाने बन गए सरमाया-दारों के
मवेशी हो गए नीलाम क्यूँ ये कोई क्या जाने
कचेहरी जाने साहूकार जाने या ख़ुदा जाने
ज़मीं-दारों को जा कर देख ले जो भी कोई चाहे
नए भट्टों में ईंटें थापते फिरते हैं हलवाहे
यहाँ अपने पुराने गाँव का अब क्या रहा बाक़ी
यही तकिया यही इक मैं यही इक झोंपड़ा बाक़ी
अज़ीमुश्शान बस्ती है ये नौ-आबाद वीराना
यहाँ हम अजनबी दोनों हैं मैं और मेरा काशाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Khuda Shayari Shayari