ham ko maaloom hai ye sab pagli
jhumkon mein dhaati ho gazab pagli
dhadkane tez chalne lagti hain
aati ho tum qareeb jab pagli
kiski khaatir ghazal sunaate hain
hamse mat poocho tum sabab pagli
raat yun hi guzar na jaaye ab
hamko baanhon mein logi kab pagli
hijr mein ye pata laga ham ko
hoti kaisi hai ye talab pagli
ik tiri yaad ne sataaya yun
ho chuke hain sharaabi lab pagli
हम को मालूम है ये सब पगली
झुमकों में ढाती हो ग़ज़ब पगली
धड़कने तेज़ चलने लगती हैं
आती हो तुम क़रीब जब पगली
किसकी ख़ातिर ग़ज़ल सुनाते हैं
हमसे मत पूछो तुम सबब पगली
रात यूँ ही गुज़र न जाए अब
हमको बाँहों में लोगी कब पगली
हिज्र में ये पता लगा हम को
होती कैसी है ये तलब पगली
इक तिरी याद ने सताया यूँ
हो चुके हैं शराबी लब पगली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh saxena
our suggestion based on Harsh saxena
As you were reading Andhera Shayari Shayari