main tere paas kyun aaya bekar mein | मैं तेरे पास क्यूँ आया बेकार में?

  - Harshwardhan Aurangabadi

main tere paas kyun aaya bekar mein
dard milta raha umr bhar pyaar mein

dhundhte dhundhte main yahan thak gaya
maa pitaa-sa nahin koi sansaar mein

ab to uske bhi shaadi ke din aa gaye
zindagi meri guzri hai raftaar mein

vo musalsal use dekhti rah gai
jab meri photo aayi thi akhbaar mein

meri izzat se usko bahut pyaar tha
phool jarti thi vo mere dastaar mein

jab tujhe choo ke mujh tak hawa aati hai
dard-o-gham aate hain mere ash'aar mein

jeet ka jashn main bhi manaata magar
haar jaata hai vardhan teri haar mein

मैं तेरे पास क्यूँ आया बेकार में?
दर्द मिलता रहा उम्र भर प्यार में

ढूँढते ढूँढते, मैं यहाँ थक गया
माँ, पिता-सा, नहींं कोई संसार में

अब तो उसके भी शादी के दिन आ गए
ज़िंदगी मेरी गुज़री है रफ़्तार में

वो मुसलसल उसे देखती रह गई
जब मेरी फोटो आई थी अख़बार में

मेरी इज्ज़त से उसको बहुत प्यार था
फूल जड़ती थी वो मेरे दस्तार में

जब तुझे छू के मुझ तक हवा आती है
दर्द-ओ-ग़म आते हैं मेरे अश'आर में

जीत का जश्न मैं भी मनाता मगर
हार जाता है ‘वर्धन’ तेरी हार में

  - Harshwardhan Aurangabadi

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Harshwardhan Aurangabadi

As you were reading Shayari by Harshwardhan Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Harshwardhan Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari