hijr ki dhoop mein chaanv jaisi baatein karte hain | हिज्र की धूप में छाँव जैसी बातें करते हैं

  - Iftikhar Arif

hijr ki dhoop mein chaanv jaisi baatein karte hain
aansu bhi to maon jaisi baatein karte hain

rasta dekhne waali aankhon ke anhone-khwab
pyaas mein bhi daryaon jaisi baatein karte hain

khud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin paate hain
phir bhi log khudaaon jaisi baatein karte hain

ek zara si jot ke bal par andhiyaaron se bair
paagal diye hawaon jaisi baatein karte hain

rang se khushbuon ka naata tootaa jaata hai
phool se log khizaon jaisi baatein karte hain

ham ne chup rahne ka ahad kya hai aur kam-zarf
ham se sukhanaaraon jaisi baatein karte hain

हिज्र की धूप में छाँव जैसी बातें करते हैं
आँसू भी तो माओं जैसी बातें करते हैं

रस्ता देखने वाली आँखों के अनहोने-ख़्वाब
प्यास में भी दरियाओं जैसी बातें करते हैं

ख़ुद को बिखरते देखते हैं कुछ कर नहीं पाते हैं
फिर भी लोग ख़ुदाओं जैसी बातें करते हैं

एक ज़रा सी जोत के बल पर अँधियारों से बैर
पागल दिए हवाओं जैसी बातें करते हैं

रंग से ख़ुशबुओं का नाता टूटता जाता है
फूल से लोग ख़िज़ाओं जैसी बातें करते हैं

हम ने चुप रहने का अहद क्या है और कम-ज़र्फ़
हम से सुख़न-आराओं जैसी बातें करते हैं

  - Iftikhar Arif

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari