mere khuda mujhe itna to mo'tabar kar de
main jis makaan mein rehta hoon us ko ghar kar de
ye raushni ke ta'aqub mein bhaagta hua din
jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de
main zindagi ki dua maangne laga hoon bahut
jo ho sake to duaon ko be-asar kar de
sitaara-e-seheri doobne ko aaya hai
zara koi mere suraj ko ba-khabar kar de
qabeela-waar kamaanein kadkane waali hain
mere lahu ki gawaahi mujhe nidar kar de
main apne khwaab se kat kar jiyooun to mera khuda
ujaad de meri mitti ko dar-b-dar kar de
meri zameen mera aakhiri hawala hai
so main rahoon na rahoon is ko barvar kar de
मिरे ख़ुदा मुझे इतना तो मो'तबर कर दे
मैं जिस मकान में रहता हूँ उस को घर कर दे
ये रौशनी के तआ'क़ुब में भागता हुआ दिन
जो थक गया है तो अब इस को मुख़्तसर कर दे
मैं ज़िंदगी की दुआ माँगने लगा हूँ बहुत
जो हो सके तो दुआओं को बे-असर कर दे
सितारा-ए-सहरी डूबने को आया है
ज़रा कोई मिरे सूरज को बा-ख़बर कर दे
क़बीला-वार कमानें कड़कने वाली हैं
मिरे लहू की गवाही मुझे निडर कर दे
मैं अपने ख़्वाब से कट कर जियूँ तो मेरा ख़ुदा
उजाड़ दे मिरी मिट्टी को दर-ब-दर कर दे
मिरी ज़मीन मिरा आख़िरी हवाला है
सो मैं रहूँ न रहूँ इस को बारवर कर दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Birthday Shayari Shayari