jabeen-e-waqt par likkhi hui sacchaaiyaan raushan rahi hain
ta-abad raushan raheingi
khuda shaahid hai aur vo zaat shaahid hai ki jo wajh-e-asaas-e-anfus-o-aafaq hai
aur khair ki taarikh ka vo baab-e-awwal hai
abad tak jis ka faizaan-e-karam jaari rahega
yaqeen ke aagahi ke raushni ke qafile har daur mein aate rahe hain
ta-abad aate rahenge
abu-taalib ke bete hifz-e-naamoos-e-risaalat ki rivaayat ke ameen the
jaan dena jaante the
vo muslim hon ki vo abbaas hon aur o mohammad hon ali-akbar hon qaasim hon ali-asghar hon
haq pahchaante the
lashkar-e-baatil ko kab gardaante the
abu-taalib ke bete sar-bureeda ho ke bhi eilaan-e-haq karte rahe hain
abu-taalib ke bete paa-b-jaulaan ho ke bhi eilaan-e-haq karte rahe hain
abu-taalib ke bete sarf-e-zindaan ho ke bhi eilaan-e-haq karte rahe hain
madeena ho najaf ho karbala ho kaazimain o saamira ho mashhad o baghdaad ho
aal-e-abu-taalib ke qadmon ke nishaan
insaaniyat ko us ki manzil ka pata dete rahe hain ta-abad dete rahenge
abu-taalib ke beton aur ghulaamaan-e-ali-ibn-e-abi-taalib mein ik nisbat rahi hai
mohabbat ki ye nisbat umr bhar qaaim rahegi
ta-abad qaaim rahegi
जबीन-ए-वक़्त पर लिक्खी हुई सच्चाइयाँ रौशन रही हैं
ता-अबद रौशन रहेंगी
ख़ुदा शाहिद है और वो ज़ात शाहिद है कि जो वज्ह-ए-असास-ए-अन्फ़ुस-ओ-आफ़ाक़ है
और ख़ैर की तारीख़ का वो बाब-ए-अव्वल है
अबद तक जिस का फ़ैज़ान-ए-करम जारी रहेगा
यक़ीं के आगही के रौशनी के क़ाफ़िले हर दौर में आते रहे हैं
ता-अबद आते रहेंगे
अबू-तालिब के बेटे हिफ़्ज़-ए-नामूस-ए-रिसालत की रिवायत के अमीं थे
जान देना जानते थे
वो मुस्लिम हों कि वो अब्बास हों औन ओ मोहम्मद हों अली-अकबर हों क़ासिम हों अली-असग़र हों
हक़ पहचानते थे
लश्कर-ए-बातिल को कब गर्दानते थे
अबू-तालिब के बेटे सर-बुरीदा हो के भी ऐलान-ए-हक़ करते रहे हैं
अबू-तालिब के बेटे पा-ब-जौलाँ हो के भी ऐलान-ए-हक़ करते रहे हैं
अबू-तालिब के बेटे सर्फ़-ए-ज़िंदाँ हो के भी ऐलान-ए-हक़ करते रहे हैं
मदीना हो नजफ़ हो कर्बला हो काज़िमैन ओ सामिरा हो मशहद ओ बग़दाद हो
आल-ए-अबू-तालिब के क़दमों के निशाँ
इंसानियत को उस की मंज़िल का पता देते रहे हैं ता-अबद देते रहेंगे
अबू-तालिब के बेटों और ग़ुलामान-ए-अली-इब्न-ए-अबी-तालिब में इक निस्बत रही है
मोहब्बत की ये निस्बत उम्र भर क़ाएम रहेगी
ता-अबद क़ाएम रहेगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Ujaala Shayari Shayari