ik khwaahish thi | इक ख़्वाहिश थी

  - Iftikhar Arif

ik khwaahish thi
kabhi aisa ho
kabhi aisa ho ki andhere mein
jab dil vehshat karta ho bahut
jab gham shiddat karta ho bahut
koi teer chale
koi teer chale jo taraazu ho mere seene mein
ik khwaahish thi
kabhi aisa ho
kabhi aisa ho ki andhere mein
jab neenden kam hoti hon bahut
jab aankhen nam hoti hon bahut
sar-e-aaina koi sham'a jale
koi sham'a jale aur bujh jaaye magar aks rahe aaine mein
ik khwaahish thi
vo khwaahish poori ho bhi chuki
dil jaise deerina dushman ki saazish poori ho bhi chuki
aur ab yun hai
jeene aur jeete rahne ke beech ek khwaab ki
doori hai
vo doori khatm nahin hoti
aur ye doori sab khwaab dekhne waalon ki majboori hai
majboori khatm nahin hoti

इक ख़्वाहिश थी
कभी ऐसा हो
कभी ऐसा हो कि अंधेरे में
(जब दिल वहशत करता हो बहुत
जब ग़म शिद्दत करता हो बहुत)
कोई तीर चले
कोई तीर चले जो तराज़ू हो मिरे सीने में
इक ख़्वाहिश थी
कभी ऐसा हो
कभी ऐसा हो कि अंधेरे में
(जब नींदें कम होती हों बहुत
जब आँखें नम होती हों बहुत)
सर-ए-आईना कोई शम्अ जले
कोई शम्अ जले और बुझ जाए मगर अक्स रहे आईने में
इक ख़्वाहिश थी
वो ख़्वाहिश पूरी हो भी चुकी
दिल जैसे देरीना दुश्मन की साज़िश पूरी हो भी चुकी
और अब यूँ है
जीने और जीते रहने के बीच एक ख़्वाब की
दूरी है
वो दूरी ख़त्म नहीं होती
और ये दूरी सब ख़्वाब देखने वालों की मजबूरी है
मजबूरी ख़त्म नहीं होती

  - Iftikhar Arif

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari