ik suraj hai jo shaam-dhale mujhe pursaa dene aata hai | इक सूरज है जो शाम-ढले मुझे पुरसा देने आता है

  - Iftikhar Arif

ik suraj hai jo shaam-dhale mujhe pursaa dene aata hai
un phoolon ka jo mere lahu mein khilne the aur khile nahin
un logon ka jo kisi mod par milne the aur mile nahin
ik khushboo hai jo basti basti mera peecha karti hai
aur apne jee ki baat bataate darti hai
ik dariya hai jo janam janam ki pyaas bujhaane aata hai
aur angaare barsaata hai
aur ye suraj aur ye khushboo aur ye dariya
meri aan-baan ke bairi hain
sab meri jaan ke bairi hain

इक सूरज है जो शाम-ढले मुझे पुरसा देने आता है
उन फूलों का जो मेरे लहू में खिलने थे और खिले नहीं
उन लोगों का जो किसी मोड़ पर मिलने थे और मिले नहीं
इक ख़ुश्बू है जो बस्ती बस्ती मेरा पीछा करती है
और अपने जी की बात बताते डरती है
इक दरिया है जो जनम जनम की प्यास बुझाने आता है
और अँगारे बरसाता है
और ये सूरज और ये ख़ुश्बू और ये दरिया
मिरी आन-बान के बैरी हैं
सब मेरी जान के बैरी हैं

  - Iftikhar Arif

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari