patange lootne waalon ko kya maaloom kis ke haath ka maanjha khara tha aur kis ki | पतंगें लूटने वालों को क्या मालूम किस के हाथ का माँझा खरा था और किस की

  - Iftikhar Arif

patange lootne waalon ko kya maaloom kis ke haath ka maanjha khara tha aur kis ki
dor halki thi
unhen is se garz kya pench padte waqt kin haathon mein larza aa gaya tha
aur kis ki khench achhi thi
hawa kis ki taraf thi kaun si paali ki bairi thi
patange lootne waalon ko kya maaloom
unhen to bas basant aate hi apni apni daangein le ke maidaanon mein aana hai
gali-koochon mein kaanti maarna hai patange lootna hai loot ke jauhar dikhaana hai
patange lootne waalon ko kya maaloom kis ke haath ka maanjha khara tha
aur kis ki dor halki thi

पतंगें लूटने वालों को क्या मालूम किस के हाथ का माँझा खरा था और किस की
डोर हल्की थी
उन्हें इस से ग़रज़ क्या पेँच पड़ते वक़्त किन हाथों में लर्ज़ा आ गया था
और किस की खेंच अच्छी थी?
हवा किस की तरफ़ थी, कौन सी पाली की बैरी थी?
पतंगें लूटने वालों को क्या मालूम?
उन्हें तो बस बसंत आते ही अपनी अपनी डाँगेँ ले के मैदानों में आना है
गली-कूचों में काँटी मारना है पतंगें लूटना है लूट के जौहर दिखाना है
पतंगें लूटने वालों को क्या मालूम किस के हाथ का माँझा खरा था
और किस की डोर हल्की थी?

  - Iftikhar Arif

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari