dasht-e-be-nakheel mein
baad-e-be-lihaaz ne
aisi khaak adaai hai
kuchh bhi soojhtaa nahin
hauslon ka saayebaan
raaston ke darmiyaan
kis tarah ujad gaya
kaun kab bichhad gaya
koi poochta nahin
fasl-e-e'tibaar mein
aatish-e-ghubaar se
khema-e-dua jala
daaman-e-wafa jala
kis buri tarah jala
phir bhi zindagi ka saath hai ki chhoota nahin
kuchh bhi soojhtaa nahin
koi poochta nahin
aur zindagi ka saath hai ki chhoota nahin
दश्त-ए-बे-नख़ील में
बाद-ए-बे-लिहाज़ ने
ऐसी ख़ाक अड़ाई है
कुछ भी सूझता नहीं
हौसलों का साएबान
रास्तों के दरमियान
किस तरह उजड़ गया
कौन कब बिछड़ गया
कोई पूछता नहीं
फ़स्ल-ए-ए'तिबार में
आतिश-ए-ग़ुबार से
ख़ेमा-ए-दुआ जला
दामन-ए-वफ़ा जला
किस बुरी तरह जला
फिर भी ज़िंदगी का साथ है कि छूटता नहीं
कुछ भी सूझता नहीं
कोई पूछता नहीं
और ज़िंदगी का साथ है कि छूटता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Zindagi Shayari Shayari