chalti rahti hai | चलती रहती है

  - Iftikhar Bukhari

chalti rahti hai
daayein baayein
aage peeche
saath saath
dheere dheere
ya tez qadmon se
jaise khiraam karti hai hawa
be-panaah raaton mein
kaanton aur jhaadiyon mein
be-khabri ke naqshon mein

chalti rahti hai
koi be-ma'ni guftugoo
umr guzaarne ke liye
dooriyon ke darmiyaan
hijr-o-visaal ke kohre mein
yakh-basta khaamosh raston mein

chalti rahti hai
kuchh der tak
koi na-qaabil-e-fahm chaal
apne khilaaf
aazurda vusa'ton ki bisaat par
azal aur abad ki be-ma'ni hameshgi mein
jeene ki justuju mein
marne ki aarzoo mein

चलती रहती है
दाएँ बाएँ
आगे पीछे
साथ साथ
धीरे धीरे
या तेज़ क़दमों से
जैसे ख़िराम करती है हवा
बे-पनाह रातों में
काँटों और झाड़ियों में
बे-ख़बरी के नक़्शों में

चलती रहती है
कोई बे-मा'नी गुफ़्तुगू
उम्र गुज़ारने के लिए
दूरियों के दरमियान
हिज्र-ओ-विसाल के कोहरे में
यख़-बस्ता ख़ामोश रस्तों में

चलती रहती है
कुछ देर तक
कोई ना-क़ाबिल-ए-फ़हम चाल
अपने ख़िलाफ़
आज़ुर्दा वुसअ'तों की बिसात पर
अज़ल और अबद की बे-मा'नी हमेश्गी में
जीने की जुस्तुजू में
मरने की आरज़ू में

  - Iftikhar Bukhari

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Bukhari

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari