tire qareeb rahoon ya ki door jaaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chaahoon main
main jaanta hoon vo rakhta hai chahten kitni
magar ye baat use kis tarah bataaun main
jo chup raha to vo samjhega bad-gumaan mujhe
bura bhala hi sahi kuchh to bol aaun main
phir us ke b'ad taalluq mein faasle honge
mujhe sanbhaal ke rakhna bichhad na jaaun main
mohabbaton ki parakh ka yahi to rasta hai
tiri talash mein nikloon tujhe na paau main
तिरे क़रीब रहूँ या कि दूर जाऊँ मैं
है दिल का एक ही आलम तुझी को चाहूँ मैं
मैं जानता हूँ वो रखता है चाहतें कितनी
मगर ये बात उसे किस तरह बताऊँ मैं
जो चुप रहा तो वो समझेगा बद-गुमान मुझे
बुरा भला ही सही कुछ तो बोल आऊँ मैं
फिर उस के ब'अद तअल्लुक़ में फ़ासले होंगे
मुझे सँभाल के रखना बिछड़ न जाऊँ मैं
मोहब्बतों की परख का यही तो रस्ता है
तिरी तलाश में निकलूँ तुझे न पाऊँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Imam Siddiqi
our suggestion based on Iftikhar Imam Siddiqi
As you were reading Hijrat Shayari Shayari