bikhar hi jaaunga main bhi hawa udaasi hai | बिखर ही जाऊँगा मैं भी हवा उदासी है

  - Iftikhar Imam Siddiqi

bikhar hi jaaunga main bhi hawa udaasi hai
fana-naseeb har ik silsila udaasi hai

bichhad na jaaye kahi tu safar andheron mein
tire baghair har ik raasta udaasi hai

bata raha hai jo rasta zameen dishaon ko
hamaare ghar ka vo raushan diya udaasi hai

udaas lamhon ne kuchh aur kar diya hai udaas
tire baghair to saari fazaa udaasi hai

kahi zaroor khuda ko meri zaroorat hai
jo aa rahi hai falak se sada udaasi hai

बिखर ही जाऊँगा मैं भी हवा उदासी है
फ़ना-नसीब हर इक सिलसिला उदासी है

बिछड़ न जाए कहीं तू सफ़र अँधेरों में
तिरे बग़ैर हर इक रास्ता उदासी है

बता रहा है जो रस्ता ज़मीं दिशाओं को
हमारे घर का वो रौशन दिया उदासी है

उदास लम्हों ने कुछ और कर दिया है उदास
तिरे बग़ैर तो सारी फ़ज़ा उदासी है

कहीं ज़रूर ख़ुदा को मिरी ज़रूरत है
जो आ रही है फ़लक से सदा उदासी है

  - Iftikhar Imam Siddiqi

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Imam Siddiqi

As you were reading Shayari by Iftikhar Imam Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Imam Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari