vo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah | वो नहीं मिलता मुझे इस का गिला अपनी जगह

  - Iftikhar Imam Siddiqi

vo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah
us ke mere darmiyaan ka fasla apni jagah

zindagi ke is safar mein saikron chehre mile
dilkashi un ki alag paikar tira apni jagah

tujh se mil kar aane waale kal se nafrat mol li
ab kabhi tujh se na bichroon ye dua apni jagah

ik musalsal daud mein hain manzilen aur faasle
ped to apni jagah hain raasta apni jagah

वो नहीं मिलता मुझे इस का गिला अपनी जगह
उस के मेरे दरमियाँ का फ़ासला अपनी जगह

ज़िंदगी के इस सफ़र में सैकड़ों चेहरे मिले
दिलकशी उन की अलग पैकर तिरा अपनी जगह

तुझ से मिल कर आने वाले कल से नफ़रत मोल ली
अब कभी तुझ से न बिछड़ूँ ये दुआ अपनी जगह

इक मुसलसल दौड़ में हैं मंज़िलें और फ़ासले
पेड़ तो अपनी जगह हैं रास्ता अपनी जगह

  - Iftikhar Imam Siddiqi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Imam Siddiqi

As you were reading Shayari by Iftikhar Imam Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Imam Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari