shaam se tanhaa khada hoon yaas ka paikar hoon main
ajnabi hoon aur faseel-e-shehr se baahar hoon main
tu to aaya hai yahan par qahqahon ke vaaste
dekhne waale bada ghamgeen sa manzar hoon main
main bacha loonga tujhe duniya ke sard-o-garm se
dhanp le mujh se badan apna tiri chadar hoon main
ab to milte hain hawa se bhi dar-o-deewar-e-jism
baasiyo mujh se nikal jaao shikasta-ghar hoon main
main tumhein udte hue dekhoonga mere saathiyo
main tumhaara saath kaise doon shikasta-par hoon main
mere hone ka pata le lo dar-o-deewar se
kah raha hai ghar ka sannaata abhi andar hoon main
kaun dega ab yahan se teri dastak ka jawaab
kis liye mujh ko sada deta hai khaali ghar hoon main
शाम से तन्हा खड़ा हूँ यास का पैकर हूँ मैं
अजनबी हूँ और फ़सील-ए-शहर से बाहर हूँ मैं
तू तो आया है यहाँ पर क़हक़हों के वास्ते
देखने वाले बड़ा ग़मगीन सा मंज़र हूँ मैं
मैं बचा लूँगा तुझे दुनिया के सर्द-ओ-गर्म से
ढाँप ले मुझ से बदन अपना तिरी चादर हूँ मैं
अब तो मिलते हैं हवा से भी दर-ओ-दीवार-ए-जिस्म
बासियो मुझ से निकल जाओ शिकस्ता-घर हूँ मैं
मैं तुम्हें उड़ते हुए देखूँगा मेरे साथियो
मैं तुम्हारा साथ कैसे दूँ शिकस्ता-पर हूँ मैं
मेरे होने का पता ले लो दर-ओ-दीवार से
कह रहा है घर का सन्नाटा अभी अंदर हूँ मैं
कौन देगा अब यहाँ से तेरी दस्तक का जवाब
किस लिए मुझ को सदा देता है ख़ाली घर हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading Aahat Shayari Shayari