laakh aawaara sahi shehron ke futpaathon pe ham | लाख आवारा सही शहरों के फ़ुटपाथों पे हम

  - Jaan Nisar Akhtar

laakh aawaara sahi shehron ke futpaathon pe ham
laash ye kis ki liye firte hain in haathon pe ham

ab unhin baaton ko sunte hain to aati hai hasi
be-tarah eimaan le aaye the jin baaton pe ham

koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin
muft ka ilzaam rakh dete barsaaton pe ham

zulf se chhanti hui us ke badan ki taabishein
hans diya karte the akshar chaandni raaton pe ham

ab unhen pahchaante bhi sharm aati hai hamein
fakhr karte the kabhi jin ki mulaqaaton pe ham

लाख आवारा सही शहरों के फ़ुटपाथों पे हम
लाश ये किस की लिए फिरते हैं इन हाथों पे हम

अब उन्हीं बातों को सुनते हैं तो आती है हँसी
बे-तरह ईमान ले आए थे जिन बातों पे हम

कोई भी मौसम हो दिल की आग कम होती नहीं
मुफ़्त का इल्ज़ाम रख देते बरसातों पे हम

ज़ुल्फ़ से छनती हुई उस के बदन की ताबिशें
हँस दिया करते थे अक्सर चाँदनी रातों पे हम

अब उन्हें पहचानते भी शर्म आती है हमें
फ़ख़्र करते थे कभी जिन की मुलाक़ातों पे हम

  - Jaan Nisar Akhtar

Mausam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Mausam Shayari Shayari