abhi hai gair ke altaaf se jafa-e-habeeb
wahi raza hai hamaari jo hai raza-e-habeeb
na samjhoon apna kisi ko raqeeb rashk se main
vo mera dost hai jo hove aashnaa-e-habeeb
vo khwaah qatl kare khwaah meri jaan bakshe
ki marg o zeest pe mukhtar hai raza-e-habeeb
na tegh-e-yaar se gardan firaau'n main hargiz
ki ain-lutf samajhta hoon main jafa-e-habeeb
patinge sham'a ke sadqe hon bulbulein gul par
koi kisi ke fida ho main hoon fida-e-habeeb
behisht ki mujhe targheeb de na tu waiz
kisi ki mujh ko tamannaa nahin sivaae habeeb
hamesha mujh se vo kehta tha mar kahi hasrat
hazaar shukr paziraai hui dua-e-habeeb
अभी है ग़ैर के अल्ताफ़ से जफ़ा-ए-हबीब
वही रज़ा है हमारी जो है रज़ा-ए-हबीब
न समझूँ अपना किसी को रक़ीब रश्क से मैं
वो मेरा दोस्त है जो होवे आश्ना-ए-हबीब
वो ख़्वाह क़त्ल करे ख़्वाह मेरी जाँ बख़्शे
कि मर्ग ओ ज़ीस्त पे मुख़्तार है रज़ा-ए-हबीब
न तेग़-ए-यार से गर्दन फिराऊँ मैं हरगिज़
कि ऐन-लुत्फ़ समझता हूँ मैं जफ़ा-ए-हबीब
पतिंगे शम्अ के सदक़े हों बुलबुलें गुल पर
कोई किसी के फ़िदा हो मैं हूँ फ़िदा-ए-हबीब
बहिश्त की मुझे तर्ग़ीब दे न तू वाइज़
किसी की मुझ को तमन्ना नहीं सिवाए हबीब
हमेशा मुझ से वो कहता था मर कहीं 'हसरत'
हज़ार शुक्र पज़ीराई हुई दुआ-ए-हबीब
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jafar Ali Hasrat
As you were reading Dushmani Shayari Shayari