mustaqbil ke khwaab sajaana mushkil hai | मुस्तक़बिल के ख़्वाब सजाना मुश्किल है

  - Jagjit Kafir

mustaqbil ke khwaab sajaana mushkil hai
ab yaadon se dil bahaana mushkil hai

jin galiyon mein yaar ka daaman chhoota tha
un galiyon mein aana-jaana mushkil hai

kuchh kirdaar nibhaaye itni shiddat se
mera apne aap mein aana mushkil hai

aawazon se zakham hue hain kuchh aise
sannaaton ko bhi sun paana mushkil hai

aansu to chhup sakte hain is duniya se
lekin dil ki aah chhupaana mushkil hai

ghaflat ke jo lamhe zillat de jaayen
un lamhon ka bojh uthaana mushkil hai

maqtal mein ik shart uthi thi tauba ki
hans kar bola ik deewaana mushkil hai

is duniya mein sab kuchh aasaan hai kaafir
bas ik saccha ishq kamaana mushkil hai

मुस्तक़बिल के ख़्वाब सजाना मुश्किल है
अब यादों से दिल बहलाना मुश्किल है

जिन गलियों में यार का दामन छूटा था
उन गलियों में आना-जाना मुश्किल है

कुछ किरदार निभाए इतनी शिद्दत से
मेरा अपने आप में आना मुश्किल है

आवाज़ों से ज़ख़्म हुए हैं कुछ ऐसे
सन्नाटों को भी सुन पाना मुश्किल है

आँसू तो छुप सकते हैं इस दुनिया से
लेकिन दिल की आह छुपाना मुश्किल है

ग़फ़्लत के जो लम्हे ज़िल्लत दे जाएँ
उन लम्हों का बोझ उठाना मुश्किल है

मक़्तल में इक शर्त उठी थी तौबा की
हँस कर बोला इक दीवाना मुश्किल है

इस दुनिया में सब कुछ आसाँ है 'काफ़िर'
बस इक सच्चा इश्क़ कमाना मुश्किल है

  - Jagjit Kafir

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagjit Kafir

As you were reading Shayari by Jagjit Kafir

Similar Writers

our suggestion based on Jagjit Kafir

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari