ye zameen ye aasmaan ye kahkashaan kuchh bhi nahin | ये ज़मीं ये आसमाँ ये कहकशाँ कुछ भी नहीं

  - Jagjit Kafir

ye zameen ye aasmaan ye kahkashaan kuchh bhi nahin
sab fana ki qaid mein hain jaavedaan kuchh bhi nahin

hai mere hi door-ufaadaa kisi goshe mein hain
wusa'at-e-kaunain hoon main ye jahaan kuchh bhi nahin

main badi mushkil se samjha hoon qaza ke raaz ko
bark-e-raksaan ke muqaabil aashiyaan kuchh bhi nahin

zindagi takhreeb aur ta'aamir ka hi khel hai
ilm waalon ko jahaan ki gutthiyaan kuchh bhi nahin

ai parindo in paron mein zarf to paida karo
hasrat-e-parvaaz ko ye bediyaan kuchh bhi nahin

zahar bhi gar hikmatan len to dava ban jaayega
is jahaan mein dekhiye to raayegaan kuchh bhi nahin

yaar ki galiyon mein ghunghroo baandh kar bhi naach luun
ishq mein kaafir meri khuddaariyaan kuchh bhi nahin

ये ज़मीं ये आसमाँ ये कहकशाँ कुछ भी नहीं
सब फ़ना की क़ैद में हैं जावेदाँ कुछ भी नहीं

है मिरे ही दूर-उफ़्तादा किसी गोशे में हैं
वुसअ'त-ए-कौनैन हूँ मैं ये जहाँ कुछ भी नहीं

मैं बड़ी मुश्किल से समझा हूँ क़ज़ा के राज़ को
बर्क़-ए-रक़्साँ के मुक़ाबिल आशियाँ कुछ भी नहीं

ज़िंदगी तख़रीब और ता'मीर का ही खेल है
इल्म वालों को जहाँ की गुत्थियाँ कुछ भी नहीं

ऐ परिंदो इन परों में ज़र्फ़ तो पैदा करो
हसरत-ए-परवाज़ को ये बेड़ियाँ कुछ भी नहीं

ज़हर भी गर हिक्मतन लें तो दवा बन जाएगा
इस जहाँ में देखिए तो राएगाँ कुछ भी नहीं

यार की गलियों में घुंघरू बाँध कर भी नाच लूँ
इश्क़ में 'काफ़िर' मिरी ख़ुद्दारियाँ कुछ भी नहीं

  - Jagjit Kafir

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagjit Kafir

As you were reading Shayari by Jagjit Kafir

Similar Writers

our suggestion based on Jagjit Kafir

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari