hukm qudrat ne jab aalam-gari ka likkha
qismat-e-ishq mein gham be-asri ka likkha
aakhirsh chaak-e-garebaan nazar aaya khud bhi
haal jis ne bhi meri jaama-dari ka likkha
padhte hi naama-e-pur-shauq mera us ne kaha
ye to hai aalam-e-aashufta-sari ka likkha
warq-e-dil pe mere ishq ne afsos ke saath
haadisa teri pashemaan-nazari ka likkha
jis ne taarikh-e-gulistaan-e-mohabbat likkhi
pehle qissa meri be-baal-o-paree ka likkha
apni qudrat ka jab izhaar kiya saane'a ne
raaz aaine pe aaina-gari ka likkha
juz mere padh na saka koi gulistaan mein jaleel
warq-e-gul pe naseem-e-sehri ka likkha
हुक्म क़ुदरत ने जब आलाम-गरी का लिक्खा
क़िस्मत-ए-इश्क़ में ग़म बे-असरी का लिक्खा
आख़िरश चाक-ए-गरेबाँ नज़र आया ख़ुद भी
हाल जिस ने भी मिरी जामा-दरी का लिक्खा
पढ़ते ही नामा-ए-पुर-शौक़ मिरा उस ने कहा
ये तो है आलम-ए-आशुफ़्ता-सरी का लिक्खा
वरक़-ए-दिल पे मिरे इश्क़ ने अफ़्सोस के साथ
हादिसा तेरी पशेमाँ-नज़री का लिक्खा
जिस ने तारीख़-ए-गुलिस्तान-ए-मोहब्बत लिक्खी
पहले क़िस्सा मिरी बे-बाल-ओ-परी का लिक्खा
अपनी क़ुदरत का जब इज़हार किया सानेअ' ने
राज़ आईने पे आईना-गरी का लिक्खा
जुज़ मिरे पढ़ न सका कोई गुलिस्ताँ में 'जलील'
वरक़-ए-गुल पे नसीम-ए-सहरी का लिक्खा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel Fatehpuri
our suggestion based on Jaleel Fatehpuri
As you were reading Ulfat Shayari Shayari