faiz tha us ke tasavvur ka jo chashm-e-tar tak | फ़ैज़ था उस के तसव्वुर का जो चश्म-ए-तर तक

  - Jaleel Fatehpuri

faiz tha us ke tasavvur ka jo chashm-e-tar tak
qafile rang ke khinch aaye hamaare ghar tak

dekhte ahl-e-jahaan zauq-e-wafa ke jauhar
us ki talwaar hi pahunchee na hamaare sar tak

tere kooche ki fazaa aur hi kuchh hai yun to
nazrein ho aayi hain duniya ke har ik manzar tak

ai khird tujh se kisi dil ko jagaaya na gaya
ishq ke haath mein to bol uthe patthar tak

ham to mausam ke ishaaron se bahak jaate hain
may-kashi kuchh nahin mahdood khum-o-saaghar tak

maut aa jaaye bas ik sajda-e-pur-shauq ke ba'ad
kaash ho jaaye rasai kabhi tere dar tak

kya ho anjaam tarqqi ka khuda jaane jaleel
shoreesh-e-aql se larzaan hain mah-o-akhtar tak

फ़ैज़ था उस के तसव्वुर का जो चश्म-ए-तर तक
क़ाफ़िले रंग के खिंच आए हमारे घर तक

देखते अहल-ए-जहाँ ज़ौक़-ए-वफ़ा के जौहर
उस की तलवार ही पहुँची न हमारे सर तक

तेरे कूचे की फ़ज़ा और ही कुछ है यूँ तो
नज़रें हो आई हैं दुनिया के हर इक मंज़र तक

ऐ ख़िरद तुझ से किसी दिल को जगाया न गया
इश्क़ के हाथ में तो बोल उठे पत्थर तक

हम तो मौसम के इशारों से बहक जाते हैं
मय-कशी कुछ नहीं महदूद ख़ुम-ओ-साग़र तक

मौत आ जाए बस इक सजदा-ए-पुर-शौक़ के बा'द
काश हो जाए रसाई कभी तेरे दर तक

क्या हो अंजाम तरक़्क़ी का ख़ुदा जाने 'जलील'
शोरिश-ए-अक़्ल से लर्ज़ां हैं मह-ओ-अख़्तर तक

  - Jaleel Fatehpuri

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel Fatehpuri

As you were reading Shayari by Jaleel Fatehpuri

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel Fatehpuri

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari