mera dil uchhalta samundar | मिरा दिल उछलता समुंदर

  - Jameel Malik

mera dil uchhalta samundar
mera jazba-e-be-amaan
mera ek ek armaan
uchhalte samundar ki sadiyon puraani chattaanon se takra ke yun reza reza hua hai
ki ghaayal samundar ke seene mein mahshar bapaa hai
har ik mauj dard-aashna hai
har ik qatra-e-aab anmol hai gauhar-e-be-baha hai

main hasti ke saahil ka mabahoot-o-hairaan musaafir
mere zard chehre pe jamti hui ret
mera sarkata hua jism
sab ki nigaahon ka markaz bana hai
magar koi aisa nahin
koi bhi to nahin
jo meri munjamid gahri jheelon se guzre
mere dil ke qulzum mein utre
jahaan ki har ik mauj dard-aashna hai
har ik qatra-e-aab anmol hai gauhar-e-be-baha hai
jahaan rooh tan se juda hai
azal ke musaafir ki manzil abad hai baqa hai

मिरा दिल उछलता समुंदर
मिरा जज़्बा-ए-बे-अमाँ
मेरा एक एक अरमाँ
उछलते समुंदर की सदियों पुरानी चट्टानों से टकरा के यूँ रेज़ा रेज़ा हुआ है
कि घायल समुंदर के सीने में महशर बपा है
हर इक मौज दर्द-आश्ना है
हर इक क़तरा-ए-आब अनमोल है गौहर-ए-बे-बहा है

मैं हस्ती के साहिल का मबहूत-ओ-हैराँ मुसाफ़िर
मिरे ज़र्द चेहरे पे जमती हुई रेत
मेरा सरकता हुआ जिस्म
सब की निगाहों का मरकज़ बना है
मगर कोई ऐसा नहीं
कोई भी तो नहीं
जो मिरी मुंजमिद गहरी झीलों से गुज़रे
मिरे दिल के क़ुल्ज़ुम में उतरे
जहाँ की हर इक मौज दर्द-आश्ना है
हर इक क़तरा-ए-आब अनमोल है गौहर-ए-बे-बहा है
जहाँ रूह तन से जुदा है
अज़ल के मुसाफ़िर की मंज़िल अबद है बक़ा है

  - Jameel Malik

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jameel Malik

As you were reading Shayari by Jameel Malik

Similar Writers

our suggestion based on Jameel Malik

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari